New Traffic Rule | Ab Sirf 5 Baar Hi Mauqa.. Uske Baad Licence Radd

New Traffic Rule : Telangana Transport Department ne naye traffic rules laagu kiye hain jo pehle se zyada sakht hain. Ab agar koi shakhs 5 baar traffic rules todta hai, toh uska driving licence hamesha ke liye radd (permanently revoke driving licence) kar diya jayega. Telangana Transport Minister Ponnam Prabhakar ne iska elan kiya aur bataya ki sarkar ka yeh Qadam road accidents kam karne aur logon ki jaan bachane ke liye uthaya gaya hai. Sarkar ka kehna hai ke naye qanoon se logon mein discipline aayega aur beparwah driving ki wajah se hone wale haadse bhi kam honge.

New Traffic Rule


Gadiyon Ki Registration Bhi Ho Sakti Hai Radd

Pehle tak sirf serious violations par hi licence cancel hota tha, lekin ab naye qanoon ke mutabiq agar koi aadmi 5 baar traffic rule todta hai toh uska dobara licence milna namumkin ho jayega. Iske ilawa, jo log traffic rules ka paalan nahi karenge unki gadiyon ki registration bhi radd (vehicles would not be registered) ho sakti hai. Telangana sarkar ne yeh faisla is wajah se liya kyunki sadkon par accidents badhte ja rahe hain aur log beparwah tareeke se driving kar rahe hain. Sarkar ka kehna hai ke agar log is naye rule ko follow karenge toh accident cases me kami aayegi aur road safety behtar hogi.


Road Safety Ke Liye AI Technology Ka Istemaal

Transport Department naye aur modern tareeqon ka istemal kar raha hai taake road safety ko behtar banaya ja sake. Artificial Intelligence (AI) ka sahara lekar gaadiyon ki fitness checking ko aur behtar kiya jayega. Is technology ki madad se gaadiyon ki asal haalat ka pata chalaya ja sakta hai aur jo log fake fitness certificates le kar chala rahe hain un par sakht action liya ja sakega. Nakli fitness certificates ki wajah se road par chalne wali khatarnaak gadiyan accidents ka sabab banti hain, isi wajah se Telangana sarkar AI technology ko istemal karne ja rahi hai. Iske ilawa, AI cameras aur sensors ka bhi istemal kiya jayega taake traffic violations ko foran record kiya ja sake aur un par action liya ja sake.


Traffic Violations Par Sakht Action

Naye traffic rules ka maqsad sadkon ko zyada mehfooz banana aur beparwah drivers par rok lagana hai. Is wajah se logon ko chahiye ki wo naye qanoon ka khayal rakhein aur traffic rules ka sahi tareeke se palan karein, warna unka licence aur gaadi dono khatre mein pad sakti hai. Telangana sarkar naye traffic rules par sakhti se amal karne ke liye police ko bhi naye tools aur gadgets se lehs kar rahi hai, taake bina kisi riyayat ke har rule-breaker par action liya ja sake. Agar koi shakhs repeat offender hoga toh us par bhari jurmana bhi lagaya jayega aur use jail bhi bheja ja sakta hai.

Isliye sabhi drivers ko chahiye ke wo naye rules ko samjhein aur unka ehtiyaat se palan karein, taake apni jaan aur doosron ki jaan mehfooz rakhi ja sake.

 

Post a Comment

0 Comments