AI in Primary schools Taaleem ke maidan mein Telangana sarkar naye aur behtareen tabdiliyan laane ja rahi hai. Pehle se kai tareeqe apnaye gaye hain, magar ab ek aur modern technology ko shamil karne ka faisla kiya gaya hai. Khusoosan, primary schools ke talba (Students) ke syllabus mein Artificial Intelligence (AI) ko shamil karne ka tay kiya gaya hai. Ye tareeqa naye taleemi saal se amal mein aane wala hai.
Primary Schools Mein AI Ka Ijra – Konsi Classon Mein?
Taleemi idare jo naye syllabus ki
tayyari kar rahe hain, unke mutabiq pehli se le kar paanchvi class tak ke
bachon ko computer education ke sath AI aur digital technology ki buniyadi
maloomat bhi di jayengi. Pehli aur doosri class ke students ko sirf computer
education se waqif karaya jayega, jabke chauthi aur paanchvi class ke students
ko AI ke buniyadi aspects sikhaye jayenge.
Pilot
Project Ke Taur Par 20 Zilon Ka Intikhab
Is tajurbaati mansube (Pilot
Project) ko abhi sirf 20 zilon ki primary schools mein shamil kiya jayega.
Chuninda zilon mein ye tareeqa taleem mutarif karaya jayega, jinmein:
- Karimnagar
- Vikarabad
- Kamareddy
- Jogulamba Gadwal
- Adilabad
- Rajanna Sircilla
- Janagam
- Mancherial
- Jagityal
- Warangal
- Hanumakonda
- Siddipet
- Nirmal
- Sangareddy
- Mulugu
- Medak
- Mahbubnagar
- Narayanpet
- Wanaparthy
- Bhadradri Kothagudem shamil hain.
In zilon ke 100 primary schools mein
AI ke dars diya jayenge.
Taleemi
Idaraat Ka Plan aur Tadbeer
Is program ko behtar tareeqe se aam
karne ke liye, sarkar ne mukhtalif taleemi idaraat ke zariye kam karna shuru
kiya hai. Har zilay ke collector ko education department ki secretary Dr.
Yogita Rana ne nigrani aur rehnumayi ka hukm diya hai.
Ek mukhtasir course bhi rakh diya
gaya hai jisme teachers aur cluster resource persons ki training Hyderabad ke
MCR HRD Institute mein 3 aur 4 April ko di jayegi. Phir ye teachers apni
schools mein 21 aur 22 April se AI ki taleem dena shuru karenge.
AI
Ka Maqsad Aur Asrat
Sirf AI (Artificial Intelligence) hi nahi, balki primary students ki literacy
aur numeracy skills behtar banane ke liye AI-based tareeqe apnaye ja rahe hain.
Iske liye 513 primary schools mein AI-based AXL (FLN-AI) program shuru kiya ja
raha hai. Is tareeqe se har talib-e-ilm apni pace ke mutabiq seekhne ka mauqa
paa sakega, jo unki buniyadi taleemi salahiyat ko barhane mein madad karega.
Ye tajurba sirf ek naya tareeqa
nahi, balki digital education aur technology ka ek naya safar hai jo aane wale
dor ke bachon ko naye daur ki science aur technology se waqif karne mein
madadgaar sabit hoga.
0 Comments