Adilabad district ke Boath shehar me aaj ek ajeeb magar dilchasp waqiya samne aaya. Wahan ke logon ne ek bore well (hand pump) ko sanmaanit karte hue uska shukriya ada kiya, jo 30 saal se lagataar paani faraham kar raha hai. 1995 me khoda gaya ye bore well har waqt peene ka paani muhayya kar raha hai. Maisamma Colony ke logon ne is bore well ko Phool Shawl udhakar sanmanit (felicitated a bore well) kiya. Ye anokha waqiya social media par viral ho gaya hai.
Har Haal Me Pani Ki Farahami
Mahaul ki mushkil halat ho ya phir garmi ka sakht mosam, ye bore well kabhi nahi sukhne diya. Shehar me bohot se paani ke zaraye sukh gaye magar Maisamma Colony ka ye bore well bina kisi repairing ke 30 saal se paani de raha hai. Isi wajah se logon ne is bore well ki izzat aur shukriya ada karne ka faisla kiya aur is khaas takreeb ka ihtemaam kiya.
felicitated a bore well : Netizens bhi Mutasir
Aam tor par bore well sirf ek paani ka zaraye samjha jata hai, magar is baar is bore well ko ek mehnat-kash shakhsiyat ki tarah izzat di gayi. Ye waqiya sirf insani taluqaat hi nahi balki fitri wasail ki qadr aur mohabbat ka bhi izhar karta hai. Social media par ye video bohot mashhoor ho raha hai aur log is tasveer ko dekh kar mutasir ho rahe hain.
Pani Ki Ahmiyat Ka Ehsaas
Ye waqiya sirf Both shehar tak mehdood nahi balki doosre ilaqon ke logon ko bhi pani ki ahmiyat samjhane ka behtareen tareeqa bana hai. Aaj kal pani ki kami aik bara masla hai, is wajah se ek bore well ka is tarah izzat diya jana dil ko choo lene wala waqiya hai. Log dua kar rahe hain ke ye bore well ainda bhi isi tarah pani ki farahami karta rahe.
Ye anokha waqiya logon ko pani ki bachat aur fitri wasail ki qadr karne ka paigham de raha hai. Humein chahiye ke hum pani ko zaroori andaz me istemal karein, isay zaya hone se bachayein aur fitri wasail ka ihtiraam karna seekhein.
0 Comments