Removes reservation for AP students : Telangana Sarkar ne ek aham Qadam uthaaya hai. Ab Telangana ke andar Andhra Pradesh ke students ke liye jo pehle reservation hota tha, woh mukammal taur par khatam kar diya gaya hai. Ye faisla jo under-graduate aur post-graduate professional courses par seedha asar dalega. Engineering, Pharmacy, Management, Medical aur Dental jaise courses me jo pehle Andhra ke students ke liye reserved seats hoti thi, ab unka khatma kar diya gaya hai.
Yeh Faisla Kyun Liya Gaya?
2014 me jab Andhra Pradesh
Reorganisation Act lagu hua tha, tab yeh faisla (decide) kiya gaya tha ke dono
riyasaton (Andhra Pradesh aur Telangana) ke students ke liye 10 saal tak
admission aur educational opportunities (Taalimi Mauqe) barabar hongi. Iska
matlab yeh tha ke Andhra Pradesh ke students Telangana ke colleges aur
universities me ek khaas percentage ke sath admission le sakte the. Lekin ab
jab yeh 10 saal ka period pura ho chuka hai, Telangana government ne faisla
kiya ke ab sirf local students ko zyada faida diya jaye aur reservation policy
ko khatam kiya jaye.
Removes reservation for AP students : Kya Badlav Aaye?
- Telangana ke universities aur professional colleges me
ab sirf Telangana ke local students ke liye 85% seats reserved rahengi.
- Pehle 15% jo Andhra ke students ke liye rakhi jati thi,
ab unko open category me daal diya gaya hai.
- Ab Andhra Pradesh ke students ko Telangana me admission
lene ke liye kisi bhi special quota ka faida nahi milega, balki unko
general competition me apply karna padega.
- Telangana ke local students ko admission me zyada
priority (Mauqe) di jayegi.
Nai Policy Me Eligibility Criteria (Ahliyat) Kya Hai?
- Agar koi student Telangana ka hai to usko wahan ke
institutions me admission ke liye eligible mana jayega.
- Student ya uske walidain (parents) Telangana me kam az
kam 10 saal se rehte hone chahiye.
- Agar student kisi wajah se Telangana ke bahar padhaai
karne gaya hai, to usko local consider karne ke liye kuch additional
criteria dekha jayega.
- Telangana government ke mulazimeen (employees), central
government employees jo Telangana me duty par hain, aur Telangana ki
universities aur government institutions me kaam karne wale logon ke
bachay bhi eligible rahenge.
Is Faisle Ka Andhra Pradesh Ke Students Par Kya Asar Hoga?
- Pehle Andhra Pradesh ke students ke liye Telangana ke
colleges me 15% seats reserved hoti thi, jo ab nahi rahengi.
- Competition badh jayega, aur sirf unhi students ko
admission milega jo achi ranks haasil karenge.
- Telangana government jo fee reimbursement aur
scholarship schemes deti hai, woh sirf Telangana ke students ke liye
available rahengi. Andhra ke students ab in schemes se mehroom ho jayenge.
- Private colleges me admission lene wale Andhra Pradesh
ke students ko zyada fees deni padegi. kyunki unko government subsidies ka
faida nahi milega.
Telangana Ke Students Ke Liye Is Faisle Ka Kya Faida Hai?
- Pehle jo seats Andhra ke students le jaate the, ab woh
Telangana ke local students ke liye available ho jayengi.
- Telangana ke students ko apne hi riyasat ke colleges me
behtar aur zyada admission opportunities milengi.
- Jo financial aids aur scholarships hain, woh ab sirf
Telangana ke students ke liye exclusive rahengi.
- Telangana ke colleges aur universities me local
students ki tadad barh jayegi, jisse unka overall education level bhi
behtar hoga.
Kya Andhra Pradesh Ke Students Ke Liye Koi Alternative Hai?
Ab jab ke Telangana me Andhra
Pradesh ke students ke liye reservation khatam ho chuka hai, unko naye options
explore karne padenge:
- Andhra Pradesh ke
universities aur colleges:
Andhra Pradesh me bhi bohot ache educational institutions hain jo
professional courses me admission dete hain. Yeh students ke liye ek
behtar alternative ho sakta hai.
- Private universities aur
deemed universities: Andhra Pradesh ke students
Telangana me private universities me admission le sakte hain, magar unko
zyada fees deni padegi.
- National level entrance
exams: Engineering aur medical
courses ke liye students JEE aur NEET jaise national level exams ke zariye
kisi bhi riyasat ke colleges me admission le sakte hain.
- Other states me admission: Agar kisi student ko Telangana me admission nahi milta, to woh doosre states ke universities aur colleges me bhi apply kar sakta hai.

0 Comments