Telangana LAWCET Notification Jaari.. Ahliyyat Aur Tafsilat | TG LAWCET & PGLCET-2025

TG LAWCET & PGLCET-2025


TG LAWCET & PGLCET-2025: Telangana mein Law Common Entrance Test (TG LAWCET) aur Post Graduate Law Common Entrance Test (PGLCET) ka notification jaari kar diya gaya hai. Yeh imtihan (Test) OSMMANIA UNIVERSITY  aur Telangana State Council of Higher Education (TSCHE) ke zaire intizam mun'aqid kiya jayega. Yeh imtihan un talaba ke liye hai jo 3 saal ya 5 saal ke LL.B. course ya LLM (Post Graduate Law) course mein dakhila lena chahte hain. Iske liye online darkhwastein (Aplications) liya jaaraha hai. 


TG LAWCET & PGLCET-2025: Aham Tareekhain (Importent Dates)

  1. Online Darkhwastein (Bina Late Fees): 1 March 2025 se 15 April 2025 ta
  2. Late Fees ke saath Darkhwast ki Akhri Tareekh:
  • 25 April 2025 tak: Rs.500
  • 5 May 2025 tak: Rs.1,000
  •  15 May 2025 tak: Rs.2,000
  • 25 May 2025 tak: Rs.4,000

3.Aplication  Editing: 20 May 2025 se 25 May 2025 tak

4.Hall Ticket Download: 30 May 2025 se

5. Imtihan (Test)  ki Tareekh: 6 June 2025

6. Primary Answer Key ki Ijra: 10 June 2025

7. Answer Key aur Natayij: 25 June 2025


Darkhwast Fees:


TG LAWCET (LL.B. 3/5 Saal): 

  • General/B.C. Candidates: Rs.900
  • SC/ST/Disabled Candidates: Rs.600,


TG PGLCET (LL.M):

  • General/B.C. Candidates: Rs.1,00
  • SC/ST/Disabled Candidates: Rs.800


TG LAWCET & PGLCET 2025: Darkhwast Ka Tareeqa

  • Talaba apni darkhwast (Aplicction)  lawcet.tsche.ac.in par online jama kar sakte hain.
  • Darkhwast jama karne se pehle talaba ko apni ahliyyat aur tamam zaroori dastawizat (Dacuments) ka jaiza lena chahiye. 
  • Apliction me poche gaye Details Bharke Submit karni chaahiye..
  • Fees ki adaigi debit card, credit card ya net banking ke zariye ki ja sakti hai.


TG LAWCET & PGLCET 2025: Ahliyyat Ka Mayar

  • 3 Saal LL.B. Course: Kisi bhi stream mein Graduation ya iske barabar taleem hasil ki honi chahiye.
  • 5 Saal LL.B. Course: Intermediate (12th Class) paas hona zaroori hai.
  • LL.M. Course: 3 ya 5 saal ka LL.B. degree hasil kiya hona chahiye.

TG LAWCET & PGLCET 2025


Umr Ki Pabandiyan (Age limit):

LL.B. aur LL.M. courses ke liye koi umr ki pabandi nahi hai. 

Kisi bhi umr ka shakhs jo taleemi mayar par pura utarta ho, is imtihan ke zariye dakhila le sakta hai.


TG LAWCET & PGLCET 2025: Imtihan Ka Nizaam

  • Mode: Online (Computer Based Test)
  • Muddat: 90 Minutes
  • Total Marks: 120

Sections: 

  • Legal Aptitude
  • General Knowledge & Current Affairs
  • Mental Ability


Marking Scheme:

  • Har sahi jawab par 1 number milega.
  • Ghalat jawab par koi negative marking nahi hai.


Qualification Criteria:

  • General Candidates: Kam az kam 45% marks
  • BC Candidates: Kam az kam 42% marks
  • SC/ST Candidates: Kam az kam 40% marks


Hall Ticket Download:

Talaba apna hall ticket 30 May 2025 se official website se download kar sakte hain. Hall ticket ke bagair kisi bhi talib-e-ilm ko imtihan mein shamil hone ki ijaazat nahi di jayegi.


TG LAWCET aur PGLCET 2025 ek behtareen moqa hai un talba ke liye jo Telangana ke mashhoor qanooni taleemi idaron mein dakhila lena chahte hain. Jo candidates law ki taleem hasil karna chahte hain, unke liye yeh ek ahem imtihan hai jisse wo behtareen qanoon daan ban sakte hain.

Post a Comment

0 Comments