Modi se Mile Revanth.. Aakhir Kya bole PM se CM ? | Revanth Reddy meets PM Modi

Revanth Reddy meets PM Modi


Revanth Reddy meets PM Modi : Telangana Ke Chief Minister A. Revanth Reddy  desh ki Rajdhani Dilli (Delhi) ka daura kiya. aur Prime Miniser Narendra Modi se mulaqat ki. Is mulaqat ka maqsad riyasat ke mukhtalif taraqqiati mansubo ke liye markazi madad talab karna tha. CM Revanth ne Andhra Pradesh Reorganisation Act se mutaliq abhi tak ke pending masail par bhi PM ko aagah kiya. Is mulaqat mein riyasati IT minister Sridhar Babu aur senior afsaraan bhi shaamil the.


 Revanth Reddy meets PM Modi : SLBC Tunnel Hadsa par Guftagu 

Haal hi mein Nagar Kurnool zilla ke Domalapenta ke qareeb SLBC tunnel hadsa pesh aaya tha, jismein 8 mazdoor phans gaye the. CM  Revanth Reddy ne is hadse ke baare mein Orime Minister Modi  ko tafseel se bataaya aur in mazdooron ko bachane ke liye markazi madad ki darkhwast ki. Unhonein  PM ko inqilabi koshishon aur rescue operations ke baare mein bhi aagah kiya.


Revanth Reddy meets PM Modi : BC Reservation, caste census 

Chief Minister ne is mulaqat ke dauran riyasat ke chand ahem masail par bhi Prime Minister se guftagu ki. Khaaskar, unhonein BC reservation mein izafa caste census  ka in'aqad, aur ,  SC categorisation bill ki manzoori ke liye darkhwast ki.


Hyderabad Metro Rail ka Tausee 

CM Revanth Reddy ne Hyderabad mein metro rail ke tausee ke liye funds Fraham (allocate) karne ki darkhwast ki. Khaas tor par, unhonein Shamshabad International Airport se Mucherla Future City tak 22 kilometer ke metro tausee project ke liye markazi maali madad ki darkhwast ki. Unka kehna tha ke ye project sheher ke tausee ko tez karega aur transport ke masail ko hal karne mein madadgar sabit hoga.


 Musi River front Project aur Regional Ring Road 

Mukhyamantri ne Musi nadi ki bahali ke liye khaas funds allocate karne ki darkhwast ki. Unhonein Prime Minister ko bataya ke Musi nadi ke ird-gird ilaqon ki taraqqi se Hyderabad sheher ko naya roop diya ja sakta hai. Iske ilawa, unhonein Regional Ring Road (RRR) project ki takmeel ke liye markazi madad ki zarurat par zor diya. Unhonein wazir-e-azam ko aagah kiya ke Hyderabad Metro Development Authority (HMDA), Telangana Industrial Infrastructure Corporation (TGIIC), aur Hyderabad Metro Rail (HMR) idaray in projects par pehle hi mutaala kar chuke hain.


Taqseem ke Waqt ki Garaniton ka Amal 

CM Revanth ne wazir-e-azam ko yaad dilaya ke Andhra Pradesh ki taqseem ke waqt di gayi garaniton par ab tak mukammal tor par amal nahi hua hai. Khaaskar, Telangana ke liye mukhassis funds, naye industries ka qiyam, taleemi idaron ka qiyam, aur rozgar ke moqay faraham karne ke masail mein markazi hukoomat se khaas tawajju ki darkhwast ki. Unhonein wazir-e-azam se darkhwast ki ke riyasat ko uska haq dilane ke liye markazi hukoomat apna kirdar ada kare. 

Post a Comment

0 Comments