Saste Daam par Russia se tel ki Kharidari.. Aaqir kyun? | India imports Russian oil

India imports Russian oil


India imports Russian oil :  Bharat duniya ka teesra sabse bara tel istemal karne wala mulk hai. Har saal yahaan lakhon barrel tel (Oil) istemal hota hai jo sirf gaadiyon, industries aur ghar ke fuel ke liye nahi balki mul ki taraqqi ke liye bhi zaroori hota hai. Magar ek sawaal jo aajkal har jagah uthaya ja raha hai, woh yeh hai ke  Bharat ne Russia se itna zyada tel kyun kharida?  Aur is se mulk ko kya faida ya nuksaan ho sakta hai?


Mauqe ka Faida  : India imports Russian oil 

Jab 2022 mein Russia ne Ukraine par hamla kiya, tab se duniya bhar mein energy market mein bohot bada hilaav aaya. Western mulkon, jaise ke America aur Europe ne Russia par sakht economic Paabandiyan lagane ka faisla kiya. Lekin Bharat ne us waqt ek alag raasta ikhtiyar kiya. Russia ne apna tel bechne ke liye naye kharidaar dhoondhne shuru kiye. aur Bharat ne is moqa ka pura faida uthaya.   

Ek naye report ke mutabiq, sirf pichle teen saal mein Bharat ne Russia se  49 billion Euros ka tel (crude oil)  import kiya. Yeh taqreeban pichle tamaam records todne ke barabar hai. 

 

 Bharat ka Tel Market Pehle Kaisa Tha?  

Agar hum pehle ke maamlaat dekhein, toh Bharat zyada tar  Middle East se tel kharidta tha. Saudi Arabia, Iraq aur UAE jese mulkon se sasta aur behtareen tel aata tha. Lekin jab Russia ne Ukraine par hamla kiya, toh America aur Europe ne Russia se tel lena band kar diya. Is wajah se Russia ko naye kharidaar dhoondhne ki zaroorat pesh aayi.   

Russia ne apne tel ki kHemat international market se bhi kam  kar di. Kahin kahin toh yeh discount  20 dollar per barrel tak mil raha tha. Yeh Bharat ke liye ek bohot bada moqa tha. Kya koi mulk sasta maal lene ka moqa ganwa sakta hai?  

India imports Russian oil


 Russia ka Tel Itna Sasta Kyun Tha? 

Yeh samajhna zaroori hai ke Russia ne apne tel ki Qeemat  itni kam kyun ki. Uske teen bade wajuhaat (reasons) hain:  

1.  Pabandiyan (Sanctions): America aur Europe ne Russia ke tel par pabandiyan laga di, jo isse bechna mushkil bana diya.  

2. Naye Customers Ki Talaash: Russia ko naye customers ki zaroorat thi jo iska tel kharidein.  

3. Bharat ki Badhti Hui Tel Ki Zaroorat:  Bharat ka tel consumption din ba din badh raha hai. To yeh ek perfect match tha.  

Jab 2022 se pehle dekha jaye, toh Bharat sirf 1%  Russian tel kharidta tha. Magar aaj yeh taqreeban 40%  tak chala gaya hai.  


Is se Bharat ko Kya Faida Hua?   

Bharat ko iska bohot faida hua: 

1.  Sasta tel Russia se kam daam pe milna mulk ki economy ke liye acha sabit hua.  

2. Tel ki keemat kam hone se petrol aur diesel bhi saste ho gaye.

3.  Saste tel ki wajah se industries ko sasta fuel mila, jo economic growth ke liye zaroori hai.  


Iska Koi Nuksaan Bhi Hai? 

Jahan faide hain, wahan kuch nuksaan bhi ho sakte hain:  

1. Western Mulkon Ki Narazgi:  Bharat ne jab Russia se itna zyada tel lena shuru kiya toh America aur Europe ko yeh acha nahi laga. Woh chahte the ke Bharat bhi Russia par pabandi lagaye.  

2. Russia Par Zyada Inhisar:  Bharat ab Russia se zyada tel kharid raha hai. Agar future mein Russia kisi wajah se tel bechna band kar de toh Bharat ko problem ho sakti hai.  

3. Geopolitical Issues: Russia aur Ukraine ki jang agar aur tez ho gayi toh Bharat ko apni policy badalni padh sakti hai.  


Post a Comment

0 Comments