Beti ki yaad me, kya kiya Baap ne? ek Azeem taariqi karnaama | Mirwais Azizi donates Dh 3 billion

https://en.wikipedia.org/wiki/Mirwais_Azizi


Mirwais Azizi : Duniya mein kuch aise log hote hain jo apni daulat sirf apne liye nahi, balki insaniyat ki bhalaai ke liye bhi kharch karte hain. Aise hi ek shaks hain 'Mirwais Azizi', jo Azizi Group ke founder aur chairman hain. Unhone apni marhooma (late) beti 'Farishta Azizi' ki yaad mein 3 billion Dirhams ka azeem atiya (Donation) diya hai. Farishta Azizi ek khatarnaak Cancer ka shikar ho gayi thi. jisse bachaya nahi ja saka.

Ye atiya Fathers Endowment Campaign ke liye diya gaya hai, jo 21 February ko UAE ke Vice President aur Dubai ke Hukmaran Sheikh Mohammed bin Rashid Al Maktoum ne shuru kiya tha. Is campaign ka maqsad un logon ki madad karna hai jo ilaaj ka kharcha uthane ke qaabil nahi hain. Yani un gareeb aur mustahiq logon ke liye ek naya ummed ka chiragh roshan kiya gaya hai. jo bimariyon ke bojh talay dab gaye hain.


Mirwais Azizi ka  UAE Ki Tareekh ka Sabse Bada  Atiya

UAE ki tareekh mein pehli dafa kisi private sector se itna bada atiya diya gaya hai, aur wo bhi insaniyat ki madad ke liye. Yeh sirf ek misaal nahi, balki duniya ke ameer logon ke liye ek sabaq bhi hai ke asal daulat wo hoti hai jo insaniyat ki bhalai ke liye kharch ki jaye. Mirwais Azizi ne yeh saabit kar diya ke daulat sirf shah-o-sharafat ka nishaan nahi, balki rehmat ka zariya bhi ho sakti hai.

Is Atiya Ka Istemaal – Ek Jadid Medical Complex

Mirwais Azizi ka diya gaya yeh paisa ek bade insaniati medical complex ki taameer (Constracion) ke liye istamaal hoga. Is project mein Ek modern hospital banaya jayega jo behtareen ilaaj ki sahulat dega. Research center qaaym kiya jayega jo naye ilaaj aur dawaon par tehqiqat karega.
Medical training facility banayi jayegi jisme doctors aur nurses ko behtareen tareeqe se tarbiyat di jayegi.
Yeh sab kuch iss saal ke aakhir tak shuru ho jayega, aur anqareeb logo ko iss ka faida milne lagega.

Mirwais Azizi


Mirwais Azizi Ka Dukh – Har Ghar Ka Dukh

Apni beti ka gham sirf ek baap hi mehsoos kar sakta hai. Mirwais Azizi ne apni beti ko cancer ki wajah se khoya tha. Jab ek maa-baap apni aulaad ko bechara aur bebas dekhtay hain, to uss dukh ki gehraiyon ka andaza sirf wo log laga sakte hain jo iss dukh se guzar chukay hain. Unhone kaha:

"Meri ek beti ko aisi bimari lag gayi jo ilaaj ke bawajood nahi theek ho saki. Is project ke zariye hum yehi chahte hain ke wo log jo paison ki wajah se ilaaj nahi kara pate, unki mushkil aasaan ho jaye."

Yeh sirf ek jumla nahi, balki insaniyat ki ek mukhlis sada hai jo har uss shakhs ke dil tak pohonchti hai jo kisi na kisi tareeqe se is dukh ko mehsoos kar sakta hai.

Sheikh Mohammed Ki Qaabile Tareef Koshish

UAE sirf ek taraqqi yaafta mulk nahi, balki insaniyat ka markaz bhi hai. Sheikh Mohammed bin Rashid Al Maktoum hamesha aise project shuru karte hain jo aam logon ke zindagi behtar banayein. Fathers Endowment Campaign bhi unki ek koshish hai jiska maqsad gareeb aur mustahiq logon ko behtareen ilaaj faraham karna hai. Is campaign ke zariye:

Gareeb mariz bina kisi chinta ke apna ilaaj karwa sakenge.
Behtareen doctors aur nurses ki fauj tayar ki jayegi jo har kisam ke marizon ki dekhbhaal karegi.
Har shakhs ko insaniyat ke naam par madad milne ka moka diya jayega, chahe uski mazhabi ya qaumi shanakht jo bhi ho.

Duniya Ke Ameer Logon Ke Liye Ek Ibrat

Aksar ameer log sirf apne business aur properties ko barhane mein masroof rehte hain, magar kuch log aise bhi hote hain jo insaniyat ke naam par apni daulat ka aik hissa wapis dene ka jazba rakhte hain. Mirwais Azizi ka yeh kadam un tamam ameer logon ke liye ek misaal hai jo sirf apni daulat mein izafa karne ka sochte hain.

Yeh ek khuli dawat hai un tamam ameer aur taqatwar logon ke liye ke Wo bhi gareebon ke liye kuch karein.
Apne mal se sirf maze na lein, balki usse kisi ki zindagi bhi behtar banayen.
Aaj jo madad kar sakta hai, wo kal kisi aur ki madad ka mohtaj bhi ho sakta hai.

Mirwais Azizi

 Mirwais Azizi : Insaniyat Sab Se Pehle

Is poori kahani ka ek hi sabak hai – insaniyat sab se pehle. Chahe aap ameer hain ya gareeb, aapka asli imtihaan yehi hai ke aap kis tarah doosron ki madad karte hain. Mirwais Azizi ne sirf ek atiya nahi diya, balki insaniyat ka aik naye safar ka aghaz kiya hai.

Yeh project sirf aik medical complex ka tasalsul nahi, balki ek naye soch ka ibtida hai jisme har shakhs ek doosray ki madad karega. Aakhir kaar, yehi wo amal hai jo insaniyat ko zinda rakhta hai.

Jab bhi aap kisi gareeb mariz ko dekhein, ya kisi dukhi maa-baap ko apne bache ki bimari se larhtay dekhein, to ek baar sochiye – agar aapke paas paisa hota, to kya aap bhi Mirwais Azizi ki tarah kisi ki madad karne ke liye tayar hote?

Post a Comment

0 Comments