PIL in SC to restrict movie scenes : Hindustan mein rozana hazaroon log road accidents ki wajah se jaan se haath dho baithte hain. Yeh ek ahem masla ban chuka hai. khas tor par jawan nasl is ka sab se zyada shikar ho rahi hai. Har roz naye naye hadse saamne aa rahe hain. jismein sab se bada sabab Traffic rules ki laaparwahi, Overspeeding, Stunt driving aur helmet ya Seatbelt ka istemal na karna hai. Yeh sab cheezein filmon (Movies), web series aur advertisements ke asar ki wajah se aur bhi badh rahi hain.
NGO ne Supreme Court ka darwaza khatkhataya
Filmi Scenes Aur Reality – Kya Hai Asal Masla?
Movies, TV shows aur OTT platforms par jo daredevil stunts dikhaaye ja rahe hain, unka asar aam logon, khas tor par jawano par bohot gehra ho raha hai. Aaj kal har doosra banda filmon ki copy karne ke chakkar mein apni jaan jokhim mein dal raha hai. Yeh dekha gaya hai ke:
- Filmon aur ads mein bina helmet aur seatbelt ke gaadi chalane wale scenes aam ho gaye hain.
- Web series aur music videos mein high-speed bike rides aur daredevil stunts dikhaye ja rahe hain.
- Action movies mein bina kisi traffic rule ka dhyan rakhe dangerous car chases aur accidents dikhaaye ja rahe hain.
- Kuch advertisements mein bhi reckless driving ko cool tarike se pesh kiya jata hai, jo naujawano ko behka sakti hai.
Is sab ka asar yeh hai ke jawan ladke yeh sab dekhar asal zindagi mein bhi repeat karne lagte hain aur phir anjaam Road accident ya maut hoti hai.
Har Roz Kitne Log Road Accidents Ka Shikar Ho Rahe Hain?
NGO ‘Tsunami on Roads’ ne apni petition mein Supreme Court ko yeh bataya hai ke Hindustan mein rozana 450 se zyada log road accidents ki wajah se jaan se haath dho baithte hain.
Sabse afsos ki baat yeh hai ke 40-50% marne wale log 16 se 30 saal ki umar ke hote hain, jo zyada tar jawan ladke hain. Yeh umar taaleem, rozgaar aur zindagi ke naye makaam hasil karne ki hoti hai, magar filmon aur web series ke asar se naujawano ka safar adhoora reh jata hai.
Is PIL mein yeh bhi kaha gaya hai ke sirf reckless driving ya stunt karna hi nahi, khasta hal sadkein, traffic management ka behtar na hona aur emergency medical help ka dair se milna bhi accidents ki badi wajah hai.
Filmon Aur Web Series Par Control Kaisa Ho?
NGO ka kehna hai ke agar filmon aur web series ko free hand diya gaya to yeh aur bhi zyada youth ko galat raste par le jayengi. Is wajah se kuch naye qanoon aur guidelines banane ki zaroorat hai. NGO ne kuch ahem talab Supreme Court ke saamne rakhi hain:
1. Filmon Aur Ads Mein Warning Dikhana Lazmi Ho
Jis tarah cigarette aur sharab ke ads par warning likhi hoti hai, waise hi agar kisi film ya show mein koi Dangerous driving scene** ho, to uske saath likhna zaroori ho ke Yeh harkat jaanleva ho sakti hai, isay na dohrayein.
2. Dangerous Scenes Ko Edit Kiya Jaye
Jin filmon, ads aur web series mein reckless driving aur traffic rules todne wale scenes ho, unko ya to edit kiya jaye ya phir un par strict rating system laagu ho jisse sirf mature audience hi dekh sake.
3. OTT Aur Social Media Platforms Par Nazar Rakhi Jaye
Aaj kal OTT aur social media platforms (jaise ke YouTube, Instagram ) par stunt videos ka trend bohot zyada hai. Bohot sare influencers bhi bina kisi safety ke stunts karte hain aur log unhein copy karne lagte hain. In sab par sakhth control aur reporting system lagu hona chahiye.
4. Traffic Rules Par Strict Implementation Ho
Sirf filmon par control karna kaafi nahi, ground level par bhi awareness campaigns chalu kiye jayein. taake log samajh sakein ke speeding aur reckless driving jaanleva hai. Police ko bhi strict hona padega aur bina helmet ya seatbelt walon par sakht action lena hoga.
5. Ministry of Information & Broadcasting Aur CBFC Guidelines Banayein
NGO ne appeal ki hai ke Central Board of Film Certification (CBFC) aur Ministry of Information & Broadcasting mil kar ek naya rule banayein jismein aise khatarnaak scenes par control ho. Jis tarah filmon mein objectionable content ke liye censor board hota hai. waise hi reckless driving aur stunt scenes par bhi ek naya framework banaya jaye.


0 Comments