Azim Premji: Bharat ka Sabse Ameer Musalman

Azim Premji

 
Azim Premji: Bharat ek aise mulk hai jahan Musalmaan sirf mazhab ke maamle mein hi nahi, balki fun aur adbi maidan mein bhi apna alag muqaam bana chuke hain. Lekin agar baat karein tijarati (Trade), Sanati (idustrial) Shobe ki (Sector) ki, toh  Musalmaan abhi bhi peeche hain. Magar ek aisa Muslim khandaan bhi hai jo teen pidiyon se apne business ko aage badhata aa raha hai.

Ye kahani hai ek aise Khandaan ki jise 1947 ke Bharat-Pakistan taqseem ke waqt Muhammad Ali Jinnah ne Pakistan aane ka dawat diya tha. Unhone Pakistan ki taraf se ek ahem ohdaa (Post) bhi offer kiya tha. lekin is parivaar ne apna Mulk ko hi chuna. Aaj ye Khandaan sirf Bharat hi nahi, balki duniya bhar mein mashhoor hai. 

Is Khandaan ka naam hai Premji parivaar. jiska Khiyadat Azeem Premji kar rahe hain. Azim Premji ek mashhoor IT company Wipro ke Founder hain. aur unka naam duniya ke sabse ameer aur sabse zyada Sakhi logon mein shamil hai.

Pakistan ko Thokrane waal Khandaan

 Azim  Premji ki paidaish 24 July 1945 ko Mumbai (Bombay) mein hua. Unke Vaalid (Father) Muhammad Premji ek bade chaval ke taajir (Rice Trader) the. Shuru mein Muhammad Premji ka Busness Myanmar (Burma) mein tha. lekin 1940 ke dauraan unhone Bharat aane ka faisla kiya. 

Jab 1947 mein Bharat-Pakistan ka taqseem hua, tab Muhammad Ali Jinnah ne unko Pakistan aane ka dawat diya aur saath hi Pakistan ka pehla  Finance Minister banane ka bhi offer diya.

Lekin Muhammad Premji ne is offer ko nahi qubool kiya Unhone Hidustan mein rehna pasand kiya aur yahan apne tijarat ko badhate rahe. Aaj unka Khandaan Bharat ka sabse ameer Muslim parivaar mana jata hai. Unki naye peedhi ke fard Azeem Premji ne bhi isi virasat ko aage badhaya.

 Azim Premji ki Taleem aur Busness 

 Azim  Premji ne apni Shuruvati Taleem India mein li. aur phiir unhone America ke Stanford University se engineering ki padhaai shuru ki.  1966 mein unke waalid Muhammad Premji ka inteqal ho gaya. Ye khabar milte hi  Azim Premji ne America chhod diya aur Bharat wapas aa gaye. Us waqt wo sirf 21 saal ke the. Unhone apne waalid ka oil business apne haath mein le liya. jo uss waqt financial crisis se guzar raha tha. Lekin  Azim  Premji ne haar nahi maani aur apni soojh-boojh se business ko naye unchayi tak pahunchaya.

Unhone Wipro naam se ek nai company ki shuruaat ki, jo shuru mein edible oil aur personal care products ka kaam karti thi. Dheere dheere unhone engineering aur technology ke kshetra mein bhi kadam rakha.

Azim Premji


Wipro ka Safar: oil Se IT Tak

1966 mein jab  Azim  Premji ne Wipro ka netritva sambhala. tab ye sirf cooking oil banane waali company thi. Lekin unhone naye naye vicharon se company ko expand karne ka socha. Pehle unhone sabun (Soap), baby oil aur personal care products ka kaam shuru kiya. 

1977 mein ek bada mod aaya. Hindustani hukkumat ne  kuch naye Khanoon banayi jismein private companies ko naye business ke Shobe (Sector) mein aane ka mauqa mila.  Azim Premji ne iss mauqe ka pura faida uthaya IT aur Computer Hardware Sector mein Khadam rakha.  Unhone Wipro ko ek IT company mein badalne ka faisla kiya. 1990 ke dauraan Bharat mein software aur IT ka daur aaya. Wipro ne is daur ka pura fayda uthaya aur dheere dheere Bharat ki sabse badi IT companies mein shaamil ho gaya. Aaj Wipro sirf Bharat mein nahi, balki duniya bhar ke 60 se zyada deshon mein apne IT solutions aur services provide karta hai.

Kitne Ameer Hai Wipro Ke Malik?

Aaj  Azim  Premji Bharat ke sabse ameer logon mein shaamil hain. Unki sampatti Forbes ki report ke mutaabik 12.2 billion USD (lagbhag 1 lakh crore rupaye) hai. Wo Bharat ke 19ve sabse ameer Shakhs hain.
Lekin sirf dhan-sampatti banana hi unka maqsad nahi tha. Unka maanna hai ki Doulat ka sahi istemal tabhi hota hai jab use Samaaj ki bhalai ke liye lagaya jaye.
Is wajah se  Azim Premji Bharat ke sabse bade Sakhi logon mein bhi gina jaata hai.

Azim Premji


 Azim Premji Samaaj Seva

Aaj ke zamane mein kai ameer log sirf paisa kamane ka sochte hain, magar Azim  Premji un logon mein se nahi hain. Unhone apni zindagi ka bada hissa samaaj seva aur daan ko diya hai. 2021 mein ek report ke mutaabik, unhone 9,713 crore rupaye daan diye the. Matlab har din 27 crore rupaye kisi na kisi achhe kaam ke liye donate karte hain. Unhone  Azim  Premji Foundation naam se ek trust banaya jo shiksha, garibi hatao aur swasthya se jude kaamon mein madad karta hai.

2010 mein  Azim  Premji ne ek bada faisla liya.
Unhone kaha ki wo apni 50% se zyada sampatti daan mein de denge. Ye faisla kisi bhi Bharatiya dhanik vyakti ke liye ek misaal bana.
Aaj bhi unki foundation Bharat ke kai rajyon mein garib bachon ko padhai, swasthya suvidhayein aur rojgar ka mauka dene ka kaam karti hai. 


Post a Comment

0 Comments