Zabardasti Jang me utaara gaya - Hyderabad man trapped in Russia Ukraine war

Hyderabad man trapped Russia Ukraine war 2025


Hyderabad ka ek 37 saal ka aadmi, jise Russia ki ek construction company me naukri ka offer mila tha, ab Russia-Ukraine border par phans gaya hai aur uske parivaar ke mutabiq use zabardasti jang ladne par majboor kiya ja raha hai. Ye sab ek Mumbai-based agent ke dhoke ke baad hua, uske ghar walon ne Friday ko bataya.

 Ye waqiya tab saamne aaya jab  Mohammed Ahmed  ki biwi  Afsha Begum ne External Affairs Minister  S. Jaishankar  ko ek chitthi likh kar apne shauhar ki jaan bachane aur use wapas laane ki darkhwast ki.

 

Ahmed ka video message

 Ek video message me Mohammed Ahmed ne kaha:

 Main border par hoon, yahan jang chal rahi hai. Hum chaar Indians ne jang me jaane se inkaar kar diya to unhone hume dhamkaya aur hamare upar bandook taan di. Mere pair me plaster laga hai. Agent ne hume jhoot bolkar yahan laya hai. Usse chhodna mat.”

 

Afsha Begum ki chitthi

Afsha Begum ne apni chitthi me likha ke ek Mumbai-based consultancy firm ne unke shauhar ko Russia me construction job ka offer diya tha.

Agreement ke mutabiq Ahmed  April 2025 me India se Russia gaya. Wahan ek mahine tak koi kaam nahi mila, uske baad unhe aur 30 logon ko ek door daraz ilaqe me bhej diya gaya aur unhe zabardasti weapons  training di gayi.

Training ke baad 26 logon ko Ukraine border bhejne ki tayari hui taake wo jang me hissah lein. Lekin jab Ahmed ko border le jaaya ja raha tha, to usne  Army vehicle se jump  kar diya jisse uska  pair toot gaya. Usne jang ladne se inkaar kar diya, lekin ab use dhamki di ja rahi hai ke   jang lado, warna jaan se haath dhona padega.

 

 AIMIM se madad ki darkhwast

 Ahmed ke parivaar ne AIMIM ke president  Asaduddin Owaisi se mulaqat ki. Owaisi ne Ministry of External Affairs ko likh kar is mamle me turant kadam uthane ki darkhwast ki.

Uske baad Moscow me  Indian Embassy ke ek adhikari ne Owaisi ko likhit jawab diya ke Ahmed ki details Russian authorities ko bhej di gayi hai. aur unse   Ahmed ko jaldi release karne aur surakshit Bharat wapas bhejne ki darkhwast ki gayi hai.

 

Ahmed se contact toot gaya

Parivaar ki pareshani aur badh gayi jab  Friday subah se Ahmed ka contact band ho gaya.

Afsha Begum ne bataya “Wo pichle kuch dinon se WhatsApp par voice note aur video bhej raha tha, lekin aaj subah se kuch nahi bheja. Usne kaha tha ke unka group Ukrainian area me aage jaane wala hai aur wahan next 5 din tak rehna padega. Wahan bhari shelling aur jang ki sambhavana thi.”

Parivaar ka kehna hai ke unhe ab tak Ahmed ki koi khabar nahi mili — na hi State aur na hi Central sarkar ne koi update diya.

Afsha Begum ne kaha  “Wo hamare ghar ka eklauta kamane wala hai. Uski maa maazoor (paralyzed) hai aur do chhote bachche hain. Main sarkar se darkhwast karti hoon ke unhe jaldi se jaldi surakshit wapas laaya jaaye.”

Post a Comment

0 Comments