Yeh bandh BC sangathanon ke bulave par rakha gaya tha jise gaon aur shehr dono mein zabardast samarthan mila. Sarkari aur private idare khud hi band rahe, jabke aam awaam ne bhi is aandolan ka poora saath diya. Hyderabad mein mukhtalif siyasi parties ke kaamgar aur neta rallyon aur dharnon mein shaamil hue.
BRS Ka Sakriya Hissa
BRS ke netaon ne bandh ka poora saath dete hue rally aur protest ki agwai ki. Former ministers Talsani Srinivas Yadav, Gangula Kamalakar, V. Srinivas Goud aur kai aur netaon ne Telangana Bhavan se RTC Cross Roads tak rally nikali aur wahan baithak dharna diya. Unhone nara lagaya — “42% reservation abhi do!”
Dono Prties par ilzam
BRS ne kaha ke wo BCs ke haq mein mazbooti se khade hain. Gangula Kamalakar ne kaha, “Congress aur BJP dono mil kar BCs ko dhoka dene ki koshish kar rahe hain. Agar BCs ko unka haq nahi diya gaya to nateeje sangheen honge.” Unhone maang ki ke reservation ko constitutional amendment ke zariye laagu kiya jaye. V. Srinivas Goud ne Congress par hamla karte hue kaha “Kamareddy Declaration sirf ek naatak tha. Unke paas BCs ke liye koi sachcha iraada nahi hai. High Court ke stay ne unki jhoot ko be-naqab kar diya.” Unhone ilzaam lagaya ke Centre aur State dono hi logon ko gumrah kar rahe hain.
Zilayon Mein Poora
Asar
Nalgonda, Warangal aur Khammam Zilon mein bandh ka poora asar raha. Private schools aur colleges ne pehle hi chhutti ka ilan kar diya tha. Dukaane band rahi, buses aur gaadiyon ki awaazahi ruki rahi, banks ne bhi apne transactions bandh kar diye.
Warangal mein BC samaj ke netaon ne rally nikaal kar apna gussa zahir kiya aur 42% reservation ke liye sarkar par dabao badhaya.
BC Reservations : Bade Andolan ka roop
Telangana me BC (Backward Classes) ke liye 42% reservation ki maang ab ek bade andolan ka roop le chuki hai. Rajya ke kai BC sangathan aur siyasi parties, khaaskar Bharat Rashtra Samithi (BRS), is maang ko lekar sadkon par utar aaye hain. Unka kehna hai ke BCs Telangana ki abaadi ka ek bada hissa hain, lekin unhe ab tak unke haq ke mutabiq sarkari naukriyon aur shiksha mein hisa nahi mila.
BC Reservations kyun?
Telangana me BC (Backward Classes) reservation ka mudda ek purana aur gahra samajik-siyasi masla hai. Iska ta’alluq un tabqon se hai jo samajik, taleemi aur maashi tor par piche reh gaye hain. BC community ka kehna hai ke Telangana ki total abaadi me unka hissa 50% se zyada hai, lekin unhe sarkari naukriyon, shiksha aur siyasi numayindagi me unke hisson ke mutabiq mauka nahi mil raha. Ab unki maang hai ke reservation 42% tak badhaya jaye, taake unke haq aur barabari ko tasleem kiya ja sake.
Khanooni taur par mazboot banana ki Maang
Sarkar ne pehle bhi BCs ke liye kuch reservations diye hain, lekin unka kehna hai ke wo ground level par asar daar nahi hue. Ab BC sangathan aur BRS party demand kar rahe hain ke reservation ko Constitutional Amendment ke zariye permanent aur khanooni taur par mazboot banaya jaye.
BC netaon ka yeh bhi kehna hai ke jab tak reservation ko Constitutional Amendment ke zariye lagu nahi kiya jata, unka haq surakshit nahi rahega. Unhone Congress aur BJP par ilzaam lagaya hai ke dono parties sirf vaade karti hain lekin amal nahi karti.
BC Reservations: Samajik insaaf aur haq ke liye
Dusri taraf, kuch siyasi parties aur log keh rahe hain ke zyada reservation se doosre tabqon ke haq me kami aa sakti hai, is liye is par legal aur constitutional balance zaroori hai. Yani, Telangana me BC reservation ka mudda asal me samajik insaaf, haq aur barabari ki ladai hai — jahan BCs apni abaadi ke mutabiq haq hasil karna chahte hain.
0 Comments