Israeli Hacking Software — Sarkar ke Haathon Public ka DETA

Telangana hukumat ka ek naya faisla abhi haal hi mein bohot behas ka mawzu ban gaya hai. Hukumat ne cyber jurm ki tahqiqat ko tez karne ke maqsad se ek Israeli company se ek powerful hacking software kharidne ka irada kiya hai. Yeh software mobiles, laptops aur doosre digital devices mein ghuss kar unke andar ka data nikal sakta hai. Hukumat ka kehna hai ke is se jurm ke saboot jaldi milenge, magar mukhalifin is faisle par sakhti se sawaal utha rahe hain — khaas taur par siyasi circles mein. Unka kehna hai ke agar yeh technology ghalat haathon mein chali gayi to misuse ke imkaan bohot zyada hain.

 

Israeli Hacking Software

Software kya karta hai?

 Telangana Cyber Security Bureau (TGCBS) ke zariye state government ne ek tender pass kiya hai jisme Israeli company ka “brute force” type ka software shamil hai. Is software ka ek  tool “Cellbrite” ke naam se mashhoor hai — yeh ek aisa tool hai jo locked phones aur dusre devices ko unlock karne mein madad karta hai. Agar kisi ka phone password se lock ho, to Cellbrite us device ko bypass karke andar ka data extract kar sakta hai. Iska matlab yeh hua ke device ke malik ki permission ke baghair bhi police ya doosre authorities us data tak pohanch sakte hain.

 

iPhone bhi hack ho sakta hai?

 Market reports aur experts ke mutabiq Cellbrite ke naye model sabhi devices ko hack nahi kar pate. Khaas taur par kuch naye iPhone models par unka asar limited dikh raha hai — yaani har iPhone ko yeh tool unlock nahin kar pa raha. Waise hi kuch Google Pixel jaisi devices hardware level par zyada secure hoti hain jahan hacking mushkil hoti hai. Is liye experts keh rahe hain ke yeh tool sab devices par kaam nahin karta, lekin market mein jo zyada tar phones hain un mein kaafi asani se ghuss sakta hai.

 

Hukumat kya kehti hai?

Telangana Technology Services Limited (TTSL) ne TSCSB ke zariye is software ke liye tender bulaya. Hukumat ka kehna hai ke is ka maksad cyber jurm ki tahqiqat ko modern technology se mazboot karna hai. Woh kehte hain ke jab jurm hota hai to is software se saboot jaldi milenge aur cases ki tahqiqat tez ho jayegi. Hukumat yeh bhi bata rahi hai ke software AI based automation use karta hai jisse data processing tezi se hoti hai.

 

 Mukhalifeen ke khauf aur sawalat

Lekin opposition aur human rights ke supporters is faisle se parishan hain. Unka kehna hai ke is type ka software misuse ke liye bohot khatra ban sakta hai — khaas taur par jab political ya sensitive data ka sawal ho. Kuch logon ne pehle bhi voter data misuse hone ke ilzaam uthaye hain; aisay halaat mein yeh sawaal uthta hai ke kya yeh technology impartial tareeqay se use hogi ya phir kisi political maqsad ke liye?

 Privacy activists ka kehna hai ke aise tools ko use karne ke liye kadi legal safeguards aur transparency honi chaiye. Warna kisi bhi waqt kisi bhi aadmi ke phone ka data bina check ke access kia ja sakta hai — jo ke civil liberties ke liye nuksan-deh hai.

 

Israeli Hacking Software

 Kanooni aur ethical pehlu

 Aksar mulkon mein law enforcement ko aise digital forensic tools use karne ke liye warrants ya court orders ki zarurat hoti hai. Lekin implementation aur oversight sab jagah mukammal nahin hoti. Is liye kanooni framework, judicial oversight, aur independent audit bohot zaroori ho jate hain. Warna surveillance ka pressure aam awaam par barhta chala jayega.


Technical limitations aur haqaiq

Halaanke Cellbrite aur maamoolan is tarah ke tools powerful hote hain, lekin inki capability har jagah universal nahin hoti. Kuch naye phone models mein hardware-based security hoti hai jise bypass karna mushkil hota hai. Aur agar encryption strong ho to data extract karna aur bhi mushkil ho sakta hai. Isi wajah se experts kehte hain ke in tools ko ek silver bullet na samjha jaye — inke apne limits aur failure cases hain.

Post a Comment

0 Comments