Telangana Speaker Ke Rawayye Par Supreme Court Naraz

Supreme Court ne Telangana Assembly Speaker ke rawayye par narazgi ka izhar kiya hai. Bharat Rashtra Samithi (BRS) ke 10 MLAs jo ruling Congress mein shamil ho chuke hain, unki na ahliyat (disqualification) ka faisla lene mein deri kyun ho rahi hai? Supreme Court ne is sawaal par zor diya. BRS ne kuch din pehle Supreme Court se rujoo kiya tha taake Congress mein shamil hone wale MLAs ki na ahliyat ka hukum diya jaye. Aaj is case ki sunwai hui jisme Supreme Court ne Speaker ke rawayye par Narazgi ka izhar kiya aur case ko agle budh tak multawi kar diya.


Supreme Court


High Court Ke Ahkamat Ko Nazar Andaz : BRS Ka Daawa

BRS MLA Padi Kaushik Reddy ki taraf se Senior Advocate Aryama Sundaram ne kaha ke High Court ne September 2024 mein Speaker ko chaar hafte ke andar faisla lene ka hukum diya tha. lekin January tak koi notice jari nahi kiya gaya. Advocate ne yeh bhi kaha ke unhi MLAs mein se ek Congress ke ticket par Lok Sabha election lada aur haar gaya. magar phir bhi ab tak MLA ke rutbe par barkarar hai.


Supreme Court Ke Notice Ka Bhi Koi Jawaab Nahi

Supreme Court ne pehle bhi Speaker ko hidayat di thi, jiske baad February 13, 2025 ko Speaker ne notices jari kiye. In MLAs ko jawab dene ke liye teen hafte ka waqt diya gaya tha. magar waqt pura hone ke bawajood ab tak koi faisla nahi aaya. Senior Advocate D. Sheshadri Naidu ne yeh baat Supreme Court ke samne rakhi.


Supreme Court Ka Speaker Se Sawaal – Faisla Kyun Nahi Le Rahe?

Justice B.R. Gavai aur Justice A.G. Masih par mushtamil bench ne is mamle par sakht narazgi ka izhar kiya. Justice Gavai ne kaha, "Pehli petition file hone ke baad kitna waqt guzar gaya? Lagbhag ek saal ho chuka hai. Speaker ke daftar ne ab tak koi deadline kyun tay nahi ki?"

Supreme Court ne Speaker ko hidayat di ke baar baar waqt maang kar faisla mat delay karein. Court ne kaha, "Yeh jo late karne ki strategy hai, isay mat apnayiye."


Kya Speaker Ko Court Deadline de Sakti Hai?

Is sawaal par bhi Supreme Court ne behas ki ke kya court Speaker ko ek specific deadline de sakti hai? Senior Advocate Sundaram ne jawab diya  "Ayeen (Constitution) sab par barabar lagu hota hai. Iske ahkamaat ko amal mein lana adalat ki zimmedari hai."

Ye case agle budh ko dobara suna jayega, aur umeed hai ke Supreme Court is par koi sakht faisla le sakti hai.

 

Post a Comment

0 Comments