Bird Flu ab Yahaan bhi... Telangana Mein Pahla Case

Bird Flu

Bird Flu in Telangana : Telangana ke Yadadri-Bhuvanagiri district ke Choutuppal mandal me Bird Flu ka case samne aaya.  Nelapatla gaon mein ek poultry farm mein paya gaya. Telangana me yeh pahla case hai.  Scientists ne yeh confirm kiya hai ke us poultry farm ke murghiyon mein bird flu positive paya gaya hai. Is baat ki jaankari milte hi, hukumat ne fauri action liya. aur mukhtalif departments ke afsaron ko bhej kar us farm ko sanitize karaya.

Bird Flu Ka Phelaav Aur Hukumat Ki Kaarvayi

Nelapatla gaon ke Pabbu Mallesh ke poultry farm mein 14 aur 15 tareekh ko achanak 1000 se zyada murghiyan mar gayi. Yeh baat dekh kar farm ke malik ne fauri local veterinary doctor  Prithviraj ko khabar di. Dr. Prithviraj ne wahan jakar murghiyon ka muaina kiya aur kuch sample Hyderabad aur Madhya Pradesh ke veterinary biological research centers bheje. Hyderabad lab ke scientists ne report di ke yeh maut bird flu ki wajah se hui hai.

Jab yeh report sarkar tak pahunchi, toh fauri central aur state government ne action lene ke liye orders diye. District veterinary officer Dr. Janayya, RDO Sekhar Reddy, aur veterinary doctors Dr. Yashoda, Dr. Prithviraj aur Dr. Sridhar Reddy ne milkar us poultry farm ka daura kiya.

Murghiyon Ka Safaya Aur Gaon Mein Containment Zone

Sarkari afsaron ne 50 se zyada workers ko bula kar us farm ko puri tarah sanitize karwaya. Mitti hata kar usse excavator ki madad se ek bade gaddhe mein dafn kar diya gaya. Sirf ek poultry farm nahi, balki uske aas paas ke 6 poultry farms ko bhi sanitize karwaya gaya.

Sarkar ne is gaon ke 10 km ke ilake ko Surveillance Zone aur 1 km ke area ko Prohibited Zone ghoshit kar diya. Gaon ke logon ko alert kiya gaya aur wahan se murghiyon ka uthna-jana bilkul rok diya gaya. Gaon ke andar jo desi murghiyan aur broiler murghiyan thi, unko bhi maar kar dafn karne ka hukm diya gaya. Kirana dukaano mein jo anda tha, use bhi destroy kar diya gaya.

Sarkar ne gaon mein police picket bhi lagwa diya, jisse koi bahar ka aadmi wahan na aaye. Wahan health officials bhi tainaat kiye gaye, jo logon ke swasthya par nazar rakhenge.

 Ek Aur Gaon Mein Bhi Murghiyon Ki Maut

Nelapatla ke paas hi ek aur gaon hai Swamulari Lingotam, jo sirf 4 km door hai. Wahan bhi 5000 se zyada murghiyan mar gayi. Yahan ke poultry farm ke malik Akula Madhu aur Akula Ravi ke paas 12,000 murghiyon ke rehne ka intezam tha. Iske alawa Somalakshmamma ke farm mein bhi 7000 murghiyan thi.

Lekin jab bird flu ka shuba hota dekhne laga, toh Madhu ne apne 1500, Ravi ne 1500 aur Lakshmamma ne 2000 murghiyan dafn kar di. Baaki jo 9000 murghiyan thi, unko bhi khatam kar diya gaya, taki virus aur na faile. Veterinary doctors ne abhi tak is jagah ka pura inspection nahi kiya hai.

Hanumakonda District Mein Bhi ..

Bird flu ke panic ke beech, Hanumakonda district ke Ainavolu Mandal mein bhi 2000 desi murghiyon ki maut ki khabar aayi. Is se logon mein phir se tension badh gaya. Shuru mein isse bhi bird flu ka case samjha gaya, lekin jab veterinary doctors ne murghiyon ka post-mortem kiya, toh pata chala ke yeh maut bird flu ki wajah se nahi, balki Kokkera Disease ki wajah se hui thi.

Ainavolu mandal ki Self Help Group (SHG) ki ek member, Nomula Sangeeta ko is wajah se 8 lakh rupay ka nuksan hua. Sangeeta ne 4 mahine pehle 3 lakh ka loan le kar 2400 desi murghiyon ka poultry farm shuru kiya tha. Murghiyon ki dekhbhal, daana, vaccination aur maintenance mein ab tak 8 lakh rupay invest ho chuke the.

Lekin ek hi din mein jab 2000 murghiyan mar gayi, toh Sangeeta bilkul berozgaar ho gayi. Unhone sarkar se appeal ki hai ke woh unka nuksan pura kare, warna unke liye yeh loan chukana mushkil ho jayega.



Bird Flu Kya Hai? Isse Kaise Bachaa Jaye?

Bird flu, jise Avian Influenza (H5N1) bhi kaha jata hai, ek viral infection hai jo murghiyon, parindon aur insaano ko bhi ho sakta hai. Yeh virus zyada tar murghiyon ke beech failta hai, lekin kabhi kabhi insaano tak bhi pahuncha sakta hai.

Bird Flu Ke Symptoms

  • Murghiyon mein achanak bimari aur maut
  • Kam khana aur sust rehna
  • Unke pankh girna aur bekar dikhna
  • Aankhon se pani aana
  • Insaanon mein bukhar, sardard, gala dukhna, saans lene mein dikkat

Bird Flu Se Bachne Ke Tariqe

  • Murghi aur ande ko achhe se pakakar hi khana
  • Kachchi murghi ko chhune ke baad turant haath dhona
  • Poultry farms mein proper sanitization rakhna
  • Bina pakayi hui murghi se door rehna
  • Agar koi murghi ya parinda achanak mar jaye, toh turant veterinary doctor ko inform karein

Post a Comment

0 Comments