Digital Census 2027 : Ghar baithe oneline
Pre-Test ka maqsad kya hai
Ye pre-test asal Census ke liye ek trial run hai. Isme dekha jaayega ke online system aur ground staff dono kis tarah kaam karte hain. Jaise —
- Software aur mobile app kis had tak sahi kaam kar rahe hain.
- Data upload aur verification ka process smooth hai ya nahi.
- Printing aur logistics (materials, ID cards, etc.) me koi dikkat to nahi.
Census ka pehla phase – Housing Listing
Census do phases me hota hai. Pehla phase hota hai Housing Listing and Housing Census, jisme har ghar ka detail collect kiya jaata hai — jaise ghar ka type, size, construction material, facilities, aur ownership. Dusra phase hota hai Population Enumeration, jisme har citizen ki detail li jaati hai — jaise naam, umar, gender, shiksha (education), rozgar (employment), aur migration details.
Is baar ka pre-test Housing Listing aur Housing Census ke liye hai. Matlab isme pehle ye dekha jaayega ke log apne ghar aur family ki details digital tareeke se kis had tak asaani se de sakte hain.
Government aur State ke darmiyan coordination
Registrar-General aur Census Commissioner of India, Mrityunjay Kumar Narayan ne Telangana ke Chief Secretary K. Ramakrishna Rao ko ek letter likha hai jisme unhone state government se poora cooperation maanga hai. Unka kehna hai ke Telangana ke selected areas me ye pre-test smoothly hone chahiye taake aage chal kar poore state aur desh me Census ke dauraan koi dikkat na aaye.
Telangana government ke departments ko training, awareness aur local staff ke zariye logon ko Census ke process ke baare me samjhana hoga. Government ka plan hai ke har citizen ko ye bataya jaaye ke Census me unki participation kitni zaroori hai aur unki maloomat bilkul surakshit (secure) rahegi.
Digital Census 2027 – Bharat ke liye ek naya daur
India me Census 150 saal purani ek traditional practice hai, lekin pehli baar isey digital format me laaya jaa raha hai. Iska matlab hai ke pehle jahan enumerators paper forms bharte the, ab unke paas tablets ya smartphones honge jisse data direct system me upload ho jaayega.
Digital ke kuch bade faide ye hain:
- Speed aur accuracy barhegi – Data turant central system tak pahunch jaayega.
- Paperless system – Environment-friendly process hoga.
- Real-time monitoring – Officials turant dekh sakenge ke kaunsa area complete hua hai aur kaunsa pending hai.
- Duplicate data avoid hoga – System automatic cross-check karega ke ek hi insan do jagah register na ho.
- Policy making me madad – Sahi aur tezi se milne wala data government ko policies banane me madad karega, jaise employment, education aur health ke fields me.
Telangana ka role
Telangana ko is pre-test ke liye chunna is liye bhi gaya hai kyunki yahan digital infrastructure accha hai aur government technology-based schemes me pehle se kaafi active rahi hai. Hyderabad aur Telangana ke kuch districts me is exercise se ground-level feedback mil paayega ke log digital census ke liye kitne ready hain.
Local authorities logon ko motivate kar rahe hain ke wo 1 se 7 November ke beech digital self-enumeration window ka faida uthayein. Isse enumerators ka kaam bhi aasan hoga aur data jaldi complete ho jaayega.
0 Comments