Sarkar ne Provident Fund (PF) nikaasi ke niyamon ko bahut hi saral aur aasaan bana diya hai. Ab karamchari sirf 12 mahine kaam karne ke baad apne PF balance ka 75% nikaal sakta hai — jisme employer (naukri dene wale) ka yogdaan bhi shamil hoga. Yeh naya niyam eligibility aur claim rejection dono ko kam karega, jisse karamchariyon ko apna paisa nikaalne mein aasani hogi.
New PF Rules 2025 : Pehle ka System
Pehle PF
nikaalna bahut mushkil tha. Alag alag situation ke liye 13 alag niyam bane hue the. Har niyam mein minimum service
period alag tha — kahin 5 saal, kahin 7 saal tak kaam karna padta tha. Is wajah
se logon ke claims reject ho jaate the aur process lamba ho jaata tha.
Partial
withdrawal ke itne zyada rules hone se logon ko samajhna mushkil ho jaata tha
ki kis condition mein kitna paisa nikaal sakte hain.
Naya Simplified Framework
Ab Labour aur
Employment Mantralaya ke mutabiq, in 13
alag alag partial withdrawal rules ko mila kar ek saral aur unified niyam bana diya gaya hai.
Ab karamchari
sirf apna hissa aur interest hi nahi, balki employer ka hissa bhi nikaal sakta
hai. Matlab ab karamchari apne PF ka 75%
tak nikaal sakta hai — pehle ke mukable
mein yeh rashi kaafi zyada hai.
Eligibility Period Ab Sirf 12 Mahine
Pehle
eligibility period 1 se 7 saal tak alag alag hota tha. Ab sabhi ke liye sirf 12 mahine ka period rakha gaya hai. Isse
system samajhna aasaan ho gaya hai aur employees jaldi apna paisa nikaal sakte
hain.
Repeated Withdrawals ka Nukhsan
Baar baar PF
nikaalne se karamchariyon ke retirement ke time balance bahut kam reh jaata
tha. Report ke mutabiq, 50% logon ke
paas sirf ₹20,000
se kam PF bacha tha, aur 75% ke paas Rs 50,000
se kam.
Chhoti tankhwa wale karamchari compound interest (8.25%) ka pura faida nahi le paate the kyunki unhone apna paisa pehle hi nikaal liya hota tha.
Isliye Central Board of Trustees (CBT) ne faisla kiya
hai ki 25% contribution PF me bacha rahe,
taaki retirement ke samay ek accha corpus ban sake aur lambi avadhi ki social
security mile.
Berozgaari ke Samay PF Withdrawal
Agar koi
vyakti berozgar ho jaata hai, toh wo
apne PF balance ka 75% (employer aur
employee ka yogdaan aur interest milakar) turant nikaal sakta hai. Baaqi ka 25% ek saal baad nikaalne ki anumati di gayi
hai.
Pure PF
(100%) ka nikaasi tab ho sakta hai jab vyakti 55 saal ke baad retire ho,
permanent disability ho, retrenchment ho, voluntary retirement le le, ya desh
chhod kar permanently bahar settle ho jaaye.
New PF Rules 2025 : Pension Par Koi Asar Nahi
Naye niyamon
se pension system par koi prabhav nahi padega. Pension ab bhi 58 saal ki umr mein
milegi.
Agar koi
member 10 saal se kam seva karta hai, toh wo apna pension fund kabhi bhi 10
saal ke andar nikaal sakta hai. Lekin agar usne 10 saal poore kar liye, toh
retirement ke baad usse monthly pension milti
rahegi — jo uske aur uske parivaar ke liye lambi avadhi ki suraksha hai.
Filhaal, 75% pension members apna pura pension fund 4
saal ke andar hi nikaal lete hain, jisse unki membership khatam ho jaati hai
aur wo future ke pension aur benefits se vanchit ho jaate hain.
Family Pension ka Faida
Agar pension
fund nikaala nahi gaya hai, toh member ke marne ke baad uske parivaar ko 3 saal tak pension milti rahegi, chahe
contribution band ho gaya ho. Lekin agar fund pehle hi nikaal liya gaya ho, toh
yeh labh khatam ho jaata hai.
Isliye sarkar
ne ab naya rule banaya hai ki pension accumulation 2 mahine ke bajay 36 mahine (3 saal) baad hi
nikaal sakte hain. Iska uddeshya hai logon ko 10 saal tak pension membership banaye rakhne
ke liye prerit karna, taaki unke parivaar ko bhi lambi avadhi tak pension ka
fayda mil sake.
New PF Rules 2025 : EPFO ka Vishal Fund
Naye Niyam ke Fayde
1. Saral aur spasht niyam – Ab alag alag rules ka jhanjhat khatam.
2. Jaldi paisa nikaalne ki suvidha – Sirf 12
mahine ke baad paisa mil sakta hai.
3. Employer ka hissa bhi shamil – Ab PF nikaasi mein dono ka yogdaan milega.
4. Retirement ke liye suraksha – 25% balance PF me bacha rahega.
5. Parivaar ke liye pension suraksha – 3 saal tak family ko pension ka labh milega.
6. Tax-free return – EPFO ka return zyada cases mein tax se mukt
hai.
New PF Rules 2025 : Ease of Living
Yeh naya
framework “Ease of Living aur “Social
Security for All” ke uddeshya ko majboot banata hai — ek aise Bharat ke liye
jahan logon ke jeevan mein suvidha, suraksha aur vikas dono ka santulan bana
rahe.
0 Comments