Aaj kal ke daur me hum apni sehat ke bahut saare pehluon par dhyaan dete hain — jaise exercise, diet aur lifestyle. Lekin ek aisa system hai jise hum aksar nazarandaaz kar dete hain — aur wo hai Gut Health. yaani hamara pait ka system. Doctors ka kahna hai ke- agar aapka gut healthy (sahatmand) hai to aapki puri body balance me rehti hai. Lekin agar gut system kharab ho jaye, to ye har organ par asar daalta hai — dimagh se le kar dil tak.
Gut Health kya hai?
Gut, asal me hamara digestive system hai — jahan se khana hazam hota hai aur jahan se nutrients body me absorb hote hain. Lekin sirf digestion hi nahi, gut me hazaaron bacterias, viruses aur fungi hote hain, jise mil kar hum Microbiome kehte hain. Ye chhoti chhoti microorganisms hamare body ke liye zaroori hote hain — ye hi immune system ko strong banate hain aur hume infections se bachate hain.
Doctors kahte hain ke agar microbiome imbalance ho jaye, to ye kai health problems ka sabab ban sakta hai jaise constipation, acidity, skin problems, anxiety, depression aur hormonal issues.
Healthy Gut ke liye diet ka kya role hai?
Indian diet me already wo sab kuch maujood hai jo gut health ke liye best hai. Aapko apni roti, dal, chawal aur sabzi ka balance maintain karna chahiye.
Ye kuch khaas cheezein hain jo gut ko healthy banati hain:
- High fiber food – jaise dal, oats, sabziyan aur fruits
- Fermented food – jaise dahi, kanji, aur pickle (lekin moderate quantity me)
- Hydration – din bhar me kam se kam 2-3 litre paani zaroor piyein
- Processed aur oily food se parhez karein
- Green vegetables aur probiotic food apne khane ka hissa banayein
Lifestyle bhi matter karta hai
stress aur neend ki kami bhi gut ke bacteria par bura asar daalti hai. Jab hum zyada stress me hote hain, to digestion slow ho jata hai aur gut imbalance hota hai.
Healthy gut ke liye kya karen?
- Har din 7-8 ghante ki neend lein
- Regular exercise karein
- Meditation ya yoga se stress kam karein
- junk food se thoda doori banayein
Gut aur Brain ka Connection
Aapne shayad suna hoga — Gut is our second brain
Doctors kehte hain ke gut aur brain ke beech ek direct connection hota hai. Agar gut kharab ho, to mood swings, depression aur anxiety barh sakte hain. Isi liye gut health improve karne se mental health bhi automatically behtar hoti hai.
Immune System aur Gut Health
Hamare immune system ka zyada hissa gut me hi hota hai. Agar gut bacteria balanced hain to body infections aur viruses se easily lad sakti hai. Lekin agar gut imbalance ho, to chhoti chhoti diseases baar-baar hone lagti hain — jaise cold, skin allergy ya fatigue.
antibiotics ka unnecessary istemal bhi gut ko kamzor karta hai. Isliye hamesha doctor ke mashware ke bagair antibiotics lena avoid karein.
Apni Gut Health ka khayal kaise rakhein?
Agar aap chahte hain ke aapka gut strong aur healthy rahe, to ye simple tips follow karein:
2. Fast food aur soft drink se doori banayein
3. Seasonal fruits aur vegetables khayein
4. Din bhar active rahein – walk ya light exercise karein
5. Har meal ke baad paani turant na piyein, 15 min baad piyein

0 Comments