Jab bhi Hyderabad ka naam liya jata hai, sabse pehle zahan mein ubhar kar aata hai Charminar ka manzar, jo sheher ki shaan aur pehchan hai. Iske alawa Golconda Qila (Fort), Salar Jung Museum, Hussain Sagar, Falaknuma Palace, Qutub Shahi Tombs aur Chowmohalla Palace jaise maqamat Hyderabad ki khoobsurti aur itihaas ko aur badhate hain.
Hyderabad sheher
apni cultural diversity, khubsurat
haweliyaan, darbaar aur gardens ke liye bhi mashhoor hai. Har saal laakhon
mulki aur ghair mulki saiyyah (tourists) yahaan aate hain aur Hyderabad ki
rangeen zindagi ka hissa bante hain.
Hyderabad Heritage : Ropeway Project
Hyderabad Tourism ki Nayi Pehchan
Abhi tak
tourists alag-alag tariqon se Golconda aur Qutub Shahi Tombs ko visit karte
the. Raste aur transport facilities limited hone ki wajah se zyadatar log ek hi
jagah dekh kar wapas chale jaate the. Lekin jab yeh ropeway project complete ho
jaayega, toh visitors ek hi package mein dono jagah ka anand le paayenge.
Sochiye, jab tourist Golconda ke upar se ropeway mein sawari karte hue neeche hare-bhare bagicha, fort ki deewarein aur door chamakta hua Hyderabad city dekhenge — toh unke liye yeh ek unforgettable experience hoga.
Ropeway ka Route aur Experience
Is ropeway ka
route Golconda ke upar se shuru hoga aur directly Qutub Shahi Tombs tak le
jaayega. Beech mein travellers ko Hyderabad ka ek aisa Manzar (panoramic view)
milega jo pehle kabhi possible nahi tha.
Local Economy badhegi
- Hotels aur guest houses ki demand barhna.
- Local transport aur guides ko zyada kaam milna.
- Restaurants aur street food stalls par bheed barhna.
- Handicraft aur souvenirs ki sales mein izafa.
Ek estimate
ke mutabiq, ropeway project Hyderabad ke hazaron logon ke liye direct aur
indirect employment opportunities create karega.
0 Comments