Rajiv Yuva Vikasam Scheme
Rajiv Yuva Vikasam: Telangana hukumat ne berozgar naujawano ke liye ek nai umeed ka chiragh roshan kiya hai. Hukumat ne "Rajiv Yuva Vikasam" ke naam se ek naya mansooba shuru kiya hai jo SC, ST, BC aur minority tabqon se taluq rakhne wale berozgar naujawano ko self-employment ka moka faraham karega. Is mansoobe ke liye hukumat ne 6,000 crore rupay ka bara budget mukarrar kiya hai. Iske zariye poore riyasat mein 5 lakh naujawano ko faida hoga. Har ek mustahiq ko 3 lakh rupay ki maali madad di jayegi.
Apni Khud Ki Sanat Ya Karobar Shuru Karne Ka Mauqa
Is mansoobe ka
maqsad berozgar naujawano ko rozgaar ke mauqe faraham karna hai. Mustahiq
afraad apna chhota mota karobar ya chhoti sanat qayam kar sakte hain, jisse wo
apni zindagi behtar bana sakein. Is mansoobe ke liye jo bhi arziyan dega aur
mustahiq paaya jayega, usay hukumat ki taraf se madad di jayegi.
Rajiv Yuva Vikasam Ke Faiday
Hukumat ka maqsad
is mansoobe ke zariye berozgaari ka khatma karna hai. Is program se SC, ST, BC
aur minority tabqon ke naujawano ki maashi halaat behtar banane ka irada hai.
Lakhon berozgar naujawano ko is program ke zariye zindagi mein ek naye irtqa ka
moka milega.
Arzi Dene Ka Tareeqa
- Arzi dene ka
aghaz: 15 March 2025
- Akhri
tareekh: 5 April 2025
- Arziyon ka
jaiza: 6 April se 31 May 2025 tak
- Pasmandah
afraad ko manzoori ka patra: 2 June 2025 (Telangana Foundation Day ke din)
Rajiv Yuva Vikasam Ke Liye Ahliyat
- Arzi dene
wala Telangana ka shehri hona chahiye.
- SC, ST, BC
ya minority tabqon ka berozgar naujawan ho.
- Umar 18 se
40 saal ke darmiyan honi chahiye.
- Arzi dene wala kisi bhi self-employment ka irada rakhta ho.
Kaise Arzi Dein?
- Arzi dene
wale online hukumat ki official website par jaakar apply kar sakte hain.
- Aadhaar
card, taleemi sanad, aamdani ka saboot aur bank account ki tafseelat
upload karni hongi.
- Arziyon ka
jaiza lene ke baad jo log mustahiq paaye jayenge, unko hukumat ki taraf se
maali madad di jayegi.
0 Comments