Roza Daaron Ke Liye Swiggy Ka Naya Fasting Mode
India ki mashhoor food delivery service Swiggy
ne ek naye aur behtareen feature ‘fasting mode’ ka aaghaz kiya hai. Yeh feature
sirf Ramzan hi nahi, balki Navratri, Ekadashi, Mahashivratri, Jain Paryushan,
aur Christian Lent jaise mukhtalif tyohari roze ke liye bhi kaam karega. Is
naye feature ki madad se roze daar log be bechaini ke bina apna roza aram se
rakh sakein ge.
Swiggy Fasting Mode Kya Hai?
Swiggy ka yeh
fasting mode ek aisa digital tool hai jo users ko fasting hours ke dauraan food
delivery notifications ko pause karne ka option deta hai. Yeh feature khaaskar
un logon ke liye banaya gaya hai jo fasting (Roza) aur ibadat par apna pura
dhyaan dena chahte hain.
Fasting Mode Kaise Kaam Karega?
Users Swiggy APP
me jaake is setting ko asani se enable aur disable kar sakte hain. Jab fasting
mode activate kiya jayega, toh Ramzan ke dauraan Suhoor (subah se pehle) se
shaam 4 baje tak tamam food notifications band ho jayengi. Yeh suhulat Navratri
aur doosre tyohari roze ke dauraan bhi mukhtalif timing ke saath kaam karegi.
Fasting ka
waqt khatam hone ke baad, yeh notifications automatically wapas aa jayengi,
jisse users ko manual settings change karne ki zaroorat nahi hogi.
Swiggy Ka Fasting Mode Har Tyohar Ke Liye
Swiggy ka yeh
naya feature sirf Ramzan tak mehdood nahi hai, balki saal bhar mukhtalif
fasting occasions jaise Navratri, Jain Paryushan, aur Christian Lent ke dauraan
bhi available hoga. Iska maqsad har community ke fasting users ko ek behtar aur
sukoon bhara experience dena hai.
Roza Daaron Ke Liye Behtareen Features
1.
Notifications Pause System: Roze ke dauraan temptations se bachne
ke liye food delivery notifications band kiye ja sakte hain.
2.
Iftaar Aur Special Meals: Fasting ka waqt khatam hone ke baad
Swiggy app par khaas Ramzan deals, behtareen dishes aur discounts highlight
kiye jayenge, jisse users apni pasand ki cheezein aasani se order kar sakein.
3.
Tyohari Roze Ke Liye Suhulat: Navratri, Ekadashi aur doosre
tyohari roze ke dauraan bhi yeh mode kaam karega.
Swiggy Ka Yeh Naya Feature Kyu Zaroori Hai?
Har saal
laakhon log fasting karte hain aur unka dhyaan ibadat aur rozedari par hota
hai. Magar bar bar aane wali tempting food notifications unke liye ek mushkil
paida kar sakti hain. Swiggy ka yeh fasting mode ek thoughtful initiative hai
jo fasting users ko ek behtareen aur personalized experience deta hai.
Agar aap bhi
Ramzan ya kisi aur tyohar ke roze rakh rahe hain, toh Swiggy ka fasting mode
activate karke ek sukoon bhari fasting ka maza uthaiye!
0 Comments